मंगलवार, 31 जनवरी 2012

kashti

insaan ka jism woh kashti hai,jo tairti hai doob jaane ke baad
iske rehte hai paana manzil mushkil hai tair jaane ke baad

aashiyan uska

suna hai dil ki kisi gali mein hai jahan uska
dil dhoondte umra guzri,kab dhoondein kahan aashiyan uska

mazhab

mazhab tumhe mujh tak nahi pahuncha sakta
main woh manzil nahi jise caravan taye kare

mazhab ek ishaara hai jo raasta dikhata hai
manzil paane ke liye tayyari zaroori hai

mujhe unse baat karni thi

mujhe unse baat karni thi maine dil pe dastak di
woh samjha yeh dhadkan hai jo hardam sunayi deti hai
woh yeh dastak tab sunega jab yeh dhadakna band hoga
tab hogi unse baat tab hogi unse mulakaat 

madhushala

madhushala khud raah take,koi to aaye matwala
behosh ho madhosh ho is kadar koi peenewala

jaane kab kab chalak pada tha,madhushala mein madhu ka pyaala
koi na tha peenewala,koi na tha peenewala

dekh dekh kar raah kisi din nikal padi khud madhushala
yug yug mein aata hai hardam manmohan woh murliwala

kar kuch aisa ho prajvalit antarman mein woh jwala
jeevan naam hai ram manhar madhosh ho khud madhushala 

kuch juda hone ko hai-THE DAYS TO COME

is andhere mein nihaan jo ,phir woh sehar hone ko hai
raat ke is gehan garbh se phir subah hone ko hai

inquilaab ki yeh aandhi na rukegi na thamegi,teri kismat meri kismat
phir meherbaan hone ko hai
har shehar ki har gali mein yeh silsila hone ko hai

hain jo haakim ab bhi gumaan mein unko saza hone ko hai
ho rahe hain jo sikander,ab woh fana hone ko hai

tha jo gardish mein sitara,ab wo giraan hone ko hai
ro raha tha jo samandar phir khushnuma hone ko hai
dhoop se tapta registaan ab
phir gulsitaan hone ko hai

rang raunak ke mahal ab
kabr-gaah hone ko hai
ho gayi hai inteha ab
phir ibteda hone ko hai

ho gaya hai yug purana,phir naya hone ko hai
ram krishna ki woh gaatha,phir bayaan hone ko hai
kho gaya tha jo khiza mein ab woh ayaan hone ko hai
ab khuda ke is jahan mein kuch juda hone ko hai