शनिवार, 11 अगस्त 2012

Teri rooh mehsoos hoti hai

In hawa-on mein koi khushboo mehsoos hoti hai
mujhe aas-paas hi teri rooh mehsoos hoti hai

har taraf hai chhayi ek khamoshi si
jaane kyun usme bhi teri guft-a-goo mehsoos hoti hai

tera hona hi shayad is baat ka saboot hai
har andhere mein mujhe teri roshni mehsoos hoti hai

har baat pe nikal aate hain meri aankh se aansoo
kya karoon har baat pe teri just-a-joo mehsoos hoti hai

tu aarzoo hai ke manzil hai meri
har kadam par teri kami mehsoos hoti hai

ho zamein ke ho falak aye khuda
teri rehmat mujhe har-su mehsoos hoti hai

बुधवार, 1 अगस्त 2012

Daag

Mujhe apne aksa par,kuch daag nazar aaye
dhona chaha jab unhe aksa to dhul gaya,daag aur ubhar aaye

Tere kadmon ke nishan

Kadmon se uthi dhool,dhool se dhuan,dhuan hua aasman,
kehte hain insaan zamein pe chalta hai,
phir yeh kaise bane falak par,tere kadmon ke nishan

Hausla

manzil door na thi yaron bas itni si baat hai
hausla kam padha aur faasla badhta gaya 

Dil mein ayaan hota hai

Maghreeb mein doob kar aaftaab mere dil mein ayaan hota hai
isiliye har shaam mera dil jawaan hota hai

Har rote ko ab hansna hoga

Khushk ho gayi hain shakhein,hamein sambhalna hoga
is tasveer ko doston ab badalna hoga
jadein sookh na jayein is vraksh ki,
iske pehle hi uss mitti ko palatna hoga
baandh ke rakhein is sabr ko kab tak,
baandh ko aakhir to tootna hoga
seham jayein jab phool maali ko dekh,
har haal mein uss maali ko hatna hoga
iss andhere ko chantna hoga,har rote ko ab hansna hoga