मंगलवार, 31 जुलाई 2012

parvardigaar nahi

Dua ki chaah mein pyaar,pyaar nahi vyapaar hai
na ishq woh bimaari hai jiska koi upchaar hai
dil todne wale ko kya saza dein
jab dil jodne wale ka koi madadgaar nahi
khuda to kab se yahan baitha hai par
ishq walon ki duniya mein uska koi talabgaar nahi
jise ishq e haqiqi ka ilma nahi
woh kuch bhi ho sakta hai ek kalamkaar nahi
kisi ka dard dekh kar bhar aaye na jiski aankhein
woh koi aur hai sarkaar nahi
takleef to unhe bhi hai bahot is baat ki,
par kya karein woh is baat se sharmasaar nahi
apne dil mein baitha hai jo auron se bekhabar
koi aur ho sakta hai woh parvardigaar nahi
ishq to khud manzil hai,paar jaane ki patwaar nahi

शनिवार, 28 जुलाई 2012

my tribute to pt.ram prasad bismil and ashfaqullah khan

Bismil kehte phir phir aakar desh pe jaan ganvaun
Hasrat ki aankhein nam ho jaati sonch ke mai bhi aa paun
Bismil ki hasrat thi aakhir desh aazad karaun
Hasrat chahte the kaise,main bhi bismil ban jaun

bismil was the pen name(takhallus) of pt.ram prasad bismil and hasrat was the pen name of ashfaqullah khan 

शुक्रवार, 27 जुलाई 2012

abhi dewaane baaki hai

ban ko loota,man ko loota
tumne to jan jan ko loota

dhan ko loota,than ko loota
tumne to kan kan ko loota

chara loota,naara loota
desh ka sab kuch pyara loota

parbat loota,jharna loota
bachpan ko lootna baaki hai

surya kiran to loot chuke hain
abhi bahot khadanein baaki hai

rail ko loota,khel ko loota
jail ko lootna baaki hai

hal ko loota,jal ko loota
bas pal ko lootna baaki hai

isne loota,usne loota
kya kahein kis kisne loota

yeh bhi loota,woh bhi loota
inse to kuch bhi na choota

sab kuch to tum loot chuke ho
kya abhi shmashanein baaki hai

isko loota,usko loota
swiss ko lootna baaki hai

raj kar chuke bahot sayane
abhi deewane baaki hai

bali de gaye kayi dulare
abhi nirale baaki hai

jaan sambhalo gore-kaalon
bahot se bismil baaki hai

बुधवार, 25 जुलाई 2012

koi wajah to ho,hone ki

koi wajah to ho,hone ki
jeevan jyot sanjone  ki
subah jaagne,raat sone ki
hansne ki aur rone ki

jab tak saans chale is tan mein
pran kuch aisa kar jeevan mein
ho aasha ke deep nayan mein
koi na bhukha rahe shayan mein
bus wajah yehi ho,hone ki
jeevan jyot sanjone ki

ho rahi hai ganga maili
bhar rahi dhankuber ki thaili
ab to badlo jeevan shaili
phir prakriti ho nai naveli
bus wajah yehi ho,hone ki
jeevan jyot sanjone ki

ponch sako aansu,kisi ke
kaam aa sako tum sabhi ke
phir lehraye geet pavan mein
jhoom uthe har phool chaman mein
bus wajah yehi ho,hone ki
jeevan jyot sanjone ki

na sona ho,na ho chandi
rahe na koi jag mein baandi
khushhaali ho har aangan mein
phir aa baithe woh jeevan mein
bus wajah yehi ho,hone ki
jeevan jyot sanjone ki

hai jo upar neel gagan mein
jhaank raha jo sab ke man mein
aise barse woh kan kan mein
rahe na doori nar, narayan mein
bus wajah yehi ho,hone ki
jeevan jyot sanjone ki