बुधवार, 13 मार्च 2013

tamanna

tamannaon ki rangeen chaadar par
kitne khwab sajaye hain
duniya ne chaadar badal badalkar
bas dho diya unhe

waqt ki aandhi chalti hai
tasveerein yun badalti hai
aankhon se ashk behte hain
kehne ko sab kuch kehte hain
patjhad ke is mausam ne
bas bhigo diya unhe

tamannayein machalti hai
umra bhi aise dhalti hai
hone ko sab hota hai
deewana man rota hai
jaaga hai ya sota hai
kuch paata kuch khota hai









tamannaon ne karayi duniya ki sair
varna ab tak ghar gaye hote
tamannaon ne hi to dil behlaya hai
varna kab  ke mar gaye hote



कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें